misal-e-charkh raha ‘asman’ sar-gardan
par aaj tak na khula ye ki justuju kya hai
yahan to kaam tamanna hi men tamam hua
magar unhon ne na puchha ki aarzu kya hai
ye bahs kasrat o vahdat ki ham se kyuun vaaiz
hamari ankhon se tu dekh char-su kya hai
koi to chahiye rakhna umid-vari ko
barae-chak-e-jigar hajat-e-rafu kya hai
masal jahan men hai ”mushte namuna az-khurvar”
jo hat-dharam nahin tum ho to hat ki khu kya hai
gavah hain ye tiri bahki bahki baton ke
ye jaam kya hai ye mai kya hai ye subu kya hai
tumhare daant nahin hiire ki hain ye kaniyan
tumhare samne moti ki aabru kya hai
Leave a Reply