chand us ghar ke darichon ke barabar aaya
dil-e-mushtaq thahar ja vahi manzar aaya
main bahut khush tha kadi dhuup ke sannate men
kyuun tiri yaad ka badal mire sar par aaya
bujh gai raunaq-e-parvana to mahfil chamki
so gae ahl-e-tamanna to sitamgar aaya
yaar sab jama hue raat ki khamoshi men
koi ro kar to koi baal bana kar aaya
Leave a Reply