main nam-leva huun tera tu mo’atabar kar de
hayat ḳhuub nahin hai tu muḳhtasar kar de
hisar-e-zat ke zindan-e-be-aman ki ḳhair
ghubar-e-rah ki surat hi muntashar kar de
darogh-e-maslahat-amez ke ḳharabe men
ana-pasand mizajon ko dar-ba-dar kar de
ga.e dinon ko talashen ki agli rut men khulen
tu mausamon ko havaon se ba-ḳhabar kar de
libas-e-faqr men itni tavangari to rahe
dil-e-gharib ko vus.at men bahr-o-bar kar de
main ek umr se jaaga kiya huun jis ke liye
dua-e-nim-shabi men zara asar kar de
‘vaqar’ shaḳhs ki sha.ir na us ki fikr na fan
tamam aib hain chahe to sab hunar kar de
Leave a Reply