gham ka suraj kabhi Dhalta hi nahin
asman rang badalta hi nahin
de diya jaata hai qabza dil par
dil to siine se nikalta hi nahin
kahte hain unchi uḌanon vaale
jo gira phir vo sambhalta hi nahin
hai ḳhushamad hi se aamad lekin
vo ḳhushamad se pighalta hi nahin
gaanv bhar ḳhauf-zada hai us se
jo kabhi ghar se nikalta hi nahin
kisi insan ka dil ho ki charagh
be jala.e kabhi jalta hi nahin
ḳhamushi hai to baḌi chiiz magar
kaam chup rahne se chalta hi nahin
sha.iri kar ke bhi dekha hai ‘shakil’
dil men kuchh hai jo nikalta hi nahin
Leave a Reply