aalam men koi dil ka talabgar na paaya
is jins ka yaan ham ne kharidar na paaya
haq dhundne ka aap ko aata nahin varna
aalam hai sabhi yaar kahan yaar na paaya
ghairon hi ke hathon men rahe dast-e-nigarin
kab ham ne tire haath se azar na paaya
jaati hai nazar khas pe gah chashm-paridan
yaan ham ne par kaah bhi be-kar na paaya
tasvir ke manind lage dar hi se guzri
majlis men tiri ham ne kabhu baar na paaya
surakh hai siine men har ik shakhs ke tujh se
kis dal ke tarah tir-e-nigah paar na paaya
marbut hain tujh se bhi yahi na-kas-o-na-ahl
us baagh men ham ne gul be-khar na paaya
dam baad junun mujh men na mahsus tha yaani
jaame men mire yaron ne ik taar na paaya
aina bhi hairat se mohabbat ki hue ham
par sair ho is shakhs ka didar na paaya
vo khinch ke shamshir sitam rah gaya jo ‘mir’
khun-rezi ka yaan koi saza-var na paaya
Leave a Reply