daftar-e-lauh o qalam ya dar-e-gham khulta hai
honT khulte hain to ik bab-e-sitam khulta hai
harf-e-inkar hai kyuun nar-e-jahannam ka halif
sirf iqrar pe kyuun bab-e-iram khulta hai
aabru ho na jo pyari to ye duniya hai saḳhi
haath phailao to ye tarz-e-karam khulta hai
mangne valon ko kya izzat o rusva.i se
dene valon ki amiri ka bharam khulta hai
band ankhen rahin mela hai luTeron ka laga
ashk luT jaate hain jab dida-e-nam khulta hai
jaan dene men jo lazzat hai bachane men kahan
dil kisi se jo bandhe uqda-e-gham khulta hai
saath rahta hai sada mahfil o tanha.i men
dil-e-ram-ḳhurda magar ham se bhi kam khulta hai
dekho pasti se to har ek bulandi hai raaz
jada-e-koh faqat zer-e-qadam khulta hai
qarz ada karna hai jaan ka to chalo maqtal men
khinch ga.i baag baja tabl-o-alam khulta hai
Leave a Reply