vahan sahilon pe basharaton ka charagh bhi hai jala hua
yahan haath mere bandhe hue mira badban chhida hua
ga.i sa.aton ki talash men mira harf harf bikhar gaya
kahin tere naam ka sher bhi tha bayaz-e-jan pe likha hua
miri por por pe titliyan ka.i rang chhoḌ ke ja chukin
tire zikr ka koi phuul tha mare rat-jagon men khila hua
use ret ret men khojna use lahr lahr men DhunDhna
koi shahd sa tira ahd tha inhi sahilon pe likha hua
na.e mausamon ke ḳhiram bhi na.e lams raas na aa sake
main ye e’tiraf kahan karun tira mo’tabar tha kaha hua
kisi mor-nach ka rang bhi tiri aankh ko na lubha saka
koi zard zard sa ḳhvab tha tiri putliyon men khuda hua
kisi aur ufuq ki sadaon par vo udaas guunj chali ga.i
miri jhiil aankh na sochna kabhi aa saka hai gaya hua
kisi hijr-shal ki dhajjiyan mujhe saunp kar vo kahan gaya
vo dhanak dhanak se kata hua vo kiran kiran se buna hua
Leave a Reply