ik dard sab ke dard ka maz.har laga mujhe
dariya samundaron ka shanavar laga mujhe
mujh ko ḳhala ke paar se aati hai ik sada
ai rahrav-e-ḳhayal zara par laga mujhe
ye aur baat main ne khangala inhen bahut
in paniyon se Dar hai barabar laga mujhe
zaḳhmi ufuq dhuen ki kamand unghte daraḳht
manzar ki zad men aa ke baḌa Dar laga mujhe
vo din kahan ki us ko sar-e-sham dekh luun
pichhle pahar ka chand muqaddar laga mujhe
us ki jabin pe dekha to ‘sajjad’ kya kahun
dhabba bhi raushni ka samundar laga mujhe
Leave a Reply