main sahra tha jazira ho gaya huun
samundar dekh tera ho gaya huun
ba-juz ik naam kahta huun na sunta
main aisa gunga bahra ho gaya huun
tiri ankhon ne dhoya hai mujhe yuun
main bilkul saf-suthra ho gaya huun
tu suraj hai main a.ine ka TukḌa
kiran chhu kar sunahra ho gaya huun
mujhe raushan kiye hai aks tera
main tera shoḳh chehra ho gaya huun
baḌi lazzat hai teri qurbaton men
tar-o-taza savera ho gaya huun
Leave a Reply