aab ki tasir men huun pyaas ki shiddat men huun
abr ka saaya huun lekin dasht ki vus.at men huun
yuun to apna lag raha hai jism ka ye ghar mujhe
ruuh lekin kah rahi hai dekh main ghurbat men huun
aur to apni ḳhabar hai sab mujhe is ke siva
kaun huun kyuun huun kahan huun aur kis halat men huun
yaad bhi aata nahin kuchh bhulta bhi kuchh nahin
ya bahut masruf huun main ya bahut fursat men huun
main hua bedar to har shaḳhs ye kahne laga
niind men huun ḳhvab men huun ya kisi ghaflat men huun
zindagi ne kya diya tha maut ne kya le liya
ḳhaak se paida hua tha ḳhaak ki sohbat men huun
Leave a Reply