apne naale men gar asar hota
qatra-e-ashk bhi guhar hota
jin ke naame ki hai pahunch tujh tak
kaash main un ka nama-bar hota
dil na deta jo main tujhe zalim
kyuun miri jaan ka zarar hota
phir na karta sitam kisi pe agar
haal se mere ba-khabar hota
khun-e-ushshaq karte kyuun nahaq
gar buton ko khuda ka dar hota
kaam aata main ek din pyare
rabt mujh se tujhe agar hota
khinchti fauj-e-khat jo husn pe tegh
siina mera hi vaan sipar hota
‘soz’ ko shauq kaabe jaane ka
hai bahut par zyada-tar hota
shaikh manind tere us ke paas
bar-bardari ko jo khar hota
Leave a Reply