alam-e-vajd se iqrar men aata hua main
qissa-e-dard bana ḳhvab sunata hua main
mansab-e-dar pe aaya huun baḌi shaan ke saath
hakim-e-shahr tire hosh uḌata hua main
zindagi hijr hai aur hijr bhi aisa hai ki bas
saans tak haar chuka vasl kamata hua main
chandni raat men dariya si ravan yaad ke saath
kaif o masti men chala jhumta gaata hua main
yaar dekho to kabhi mausam-e-hijran men idhar
ḳhaak hota huun yahan dasht sajata hua main
shaḳh-e-imkan se tiri yaad ki mahkar chunun
ek bhanvra sa tiri or ko jaata hua main
halqa-e-sher se guzrunga mohabbat men ‘sa.id’
dil ke jazbat ko alfaz men laata hua main
Leave a Reply