is ke kuche men masiha har sahar jaata raha
be-ajal vaan ek do har raat mar jaata raha
ku-e-janan men bhi ab is ka pata milta nahin
dil mira ghabra ke kya jaane kidhar jaata raha
janib-e-kohsar ja nikla jo main to kohkan
apna tesha mere sar se maar kar jaata raha
ne kashish maashuq men paata huun nai ashiq men jazb
kya bala aai mohabbat ka asar jaata raha
vah-re andher bahr-e-raushni-e-shahr-e-misr
dida-e-yaqub se nur-e-nazar jaata raha
nashsha hi men ya ilahi mai-kashon ko maut de
kya guhar ki qadr jab ab-e-guhar jaata raha
ik na ik munis ki furqat ka falak ne gham diya
dard-e-dil paida hua dard-e-jigar jaata raha
husn kho kar ashna ham se hua vo naunihal
pahunche tab zer-e-shajar ham jab samar jaata raha
ranj-e-duniya se faragh iza-dahindon ko nahin
kab tap-e-shir utri kis din dard-e-sar jaata raha
fatiha padhne ko aae qabr-e-‘atish’ par na yaar
do hi din men pas-e-ulfat is qadar jaata raha
Leave a Reply