• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Majnun Ne Shahr Chhoda To Sahra Bhi Chhod de

Majnun Ne Shahr Chhoda To Sahra Bhi Chhod de

allama-iqbal

majnun ne shahr chhoda to sahra bhi chhod de

nazzare ki havas ho to laila bhi chhod de

vaaiz kamal-e-tark se milti hai yaan murad

duniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod de

taqlid ki ravish se to behtar hai khud-kushi

rasta bhi dhund khizr ka sauda bhi chhod de

manind-e-khama teri zaban par hai harf-e-ghair

begana shai pe nazish-e-beja bhi chhod de

lutf-e-kalam kya jo na ho dil men dard-e-ishq

bismil nahin hai tu to tadapna bhi chhod de

shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal

is baagh men qayam ka sauda bhi chhod de

hai ashiqi men rasm alag sab se baithna

but-khana bhi haram bhi kalisa bhi chhod de

sauda-gari nahin ye ibadat khuda ki hai

ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhod de

achchha hai dil ke saath rahe pasban-e-aql

lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de

jiina vo kya jo ho nafas-e-ghair par madar

shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de

shokhi si hai saval-e-mukarrar men ai kalim

shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhod de

vaaiz subut laae jo mai ke javaz men

‘iqbal’ ko ye zid hai ki piina bhi chhod de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

haidar-ali-aatish

Bulbul Gulon Se dekh Ke Tujhko Bigad Gaya

ismail-merathi

Thoda Thoda Mil Kar Bahut Ho Jata Hai

Dinon Se Kaise Shabon Mein Dhalte Hain Din Hamare

poet

Ab To Aksar Ye Sochti Hun Main

abdul-hamid-adam

Ai Kharabaat Ke Khudawando

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet