mirā ḳhvāb merā ḳhayāl tū tirā zikr hai mirī guftugū
mirā har nafas tirī aarzū mirā har qadam tirī justujū
mujhe zid nahīñ magar aa bhī jā baḌā yās-o-ġham kā hujūm hai
tire dard kī mire zabt kī kahīñ luT na jaa.e ye aabrū
maiñ malāmatoñ kā shikār bhī mujhe kāfirī kā ḳhitāb bhī
mirī mai-kashī kā ḳhumār tū mirī bandagī kā shi.ār tū
ye kaThin to hai mire dosto mujhe mo.ajizoñ pe bhī hai yaqīñ
kabhī aa.e aisā bhī ek din ki use bhī ho mirī justujū
nahīñ aql-o-faham kī dastaras haiñ ajiib dil ke muāmle
kabhī nik.hatoñ se latīf-tar kabhī rasan-o-dār se dū-badū
tirā ruup bhī tirā rañg bhī tire gesuoñ kī mahak bhī thī
kabhī aa gayā huuñ jo daf.atan maiñ ḳhud apne aap ke rū-ba-rū
yūñhī ek halkī sī choT se vo na jaane kaise bikhar gayā
vo jo ḳhud ko kahtā thā āhanī baḌī sho.ala-bār thī guftugū