Ye Baat Munkashif Hui Charag Ke Baghair Bhi

ye baat munkashif huī charāg ke baġhair bhī

maiñ DhūñD lūñgā har ḳhushī charāg ke baġhair bhī

huā thā jis jagah kabhī visāl-e-yār dosto

hai us jagah pe raushnī charāg ke baġhair bhī

likkhī ga.ī haiñ jis ke saath zindagī kī manzileñ

vo aa milegā aadmī charāg ke baġhair bhī

masarratoñ ke qāfile luTā rahī hai phir mujhe

tirī ye ḳhud-supurdagī charāg ke baġhair bhī

maiñ tazkira karūñ to kyā karūñ jamāl-e-yār kā

damak rahī thī dilkashī charāg ke baġhair bhī

tumhārī ek yaad be-shumār hasratoñ ke rañg

nigāh meñ sajā ga.ī charāg ke baġhair bhī

gila kisī se kyuuñ karūñ guzar hī jā.egī ‘ḳhayāl’

ye muḳhtasar sī zindagī charāg ke baġhair bhī

Leave a Comment