tumhen pasand hai tanha safar ziyada-tar
yahi raha mire pesh-e-nazar ziyada-tar
guman ki lauT ke aa ja.enge kisi saa.at
usi guman ne ujaḌe hain ghar ziyada-tar
gurez ke koi lamhe bhi aa ga.e honge
tumhari yaad rahi ham-safar ziyada-tar
dikha.i deti hain kab ḳhud ko ḳhamiyan apni
fareb khati hai apni nazar ziyada-tar
kahan maqam vo hota hai sar jhukane ka
vo jis maqam pe jhukte hain sar ziyada-tar
ye e’tibar ki duniya bhi ḳhuub duniya hai
ki mo’atabar bhi hai na-mo’tabar ziyada-tar
‘na.im’ kaam kiye kam hi kaam ke ham ne
abas guzare hain sham-o-sahar ziyada-tar
Leave a Reply