main juda.i ka muqarrar silsila ho ja.unga
vo bhi din aa.ega jab ḳhud se juda ho ja.unga
ḳhat likho ya phone ke zariye pata lete raho
varna main thoḌe dinon men lapata ho ja.unga
ja.unga main aa.ine ke is taraf se us taraf
aur phir main main na rah kar dusra ho ja.unga
umr to baḌhti rahi aur main sikuḌta hi raha
main samajhta tha ki ik din main baḌa ho ja.unga
jab bhi dohra.unga apni zindagi ki dastan
zindagi par apni shayad phir fida ho ja.unga
Leave a Reply