un ki chutki men dil na mal jaata
to ye sikka hamara chal jaata
shama tha yaar jo pighal jaata
aur main parvana tha jo jal jaata
kya kahen sair ko vo gul na gaya
baagh ka rang hi badal jaata
gor hi se na ban padi varna
azhdaha to hamen nigal jaata
ab to pistan nikaliye sahab
itne sin men anaar phal jaata
sadme ghere hain hijr men dam ko
saans paata to ye nigal jaata
kya girata ‘sakhi’ ye charkh mujhe
ya-‘ali’ kahta aur sambhal jaata
Leave a Reply