zamane! tahniyat tujh ko
ki phir maidan maara hai
magar ab ke jo haara hai
bada hi sakht-jan nikla
muqabil tere aane ko bahut tayar phirta tha
liye hathiyar phirta tha
vafa ke, zarf ke
ankhon men raushan khush-gumani ke
labon par khelti khvahish,
sukhan men nachti ik hausla-mandi
ragon men daudta sayyal irada tha
badan par khvab ki pahne zira-baktar
jabin par be-niyazi khuud ki surat tikai thi
gira ke farsh par is ko
bada arsa laga tujh ko
ki is kashana-e-ummid bhi lams-e-zamin chakkhe
phir is ke baad
kitni der tak us ka
adam taslim-e-paspai men chillate hue rahna…
zamane tahniyat tujh ko
ki ab ki martaba jis ko pachhada hai
bada hi sakht-jan tha vo!!
Leave a Reply