• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aakhir-E-Kar Chale Tir Ki Raftar Qadam

Aakhir-E-Kar Chale Tir Ki Raftar Qadam

haidar-ali-aatish

akhir-e-kar chale tiir ki raftar qadam

ghair manzil na pade raah men zinhar qadam

uth gae vasl ki shab peshtar-az-yar qadam

aage ham umr-e-ravan se bhi chale chaar qadam

ku-e-maqsud se yuun rakhti hai ghaflat mujhe duur

jaise so jaane se ho jaate hain be-kar qadam

ahl-e-alam men huun main zindon men murdon ki tarah

badh chalen laakh magar saath hain do chaar qadam

ek muddat se rah-e-kaba men avara hain

kya khuda ka mujhe dikhlaenge didar qadam

josh-e-vahshat men bhi main chadh ke na us par dauda

le gae hasrat-e-khar-e-sar-e-divar qadam

surat-e-barg-e-khizan jhadte hain har gaam gunah

jab uthate hain tiri raah men zavvar qadam

ai junun koh-o-bayaban bhi dikhla mujh ko

rahen pasti o bulandi se khabar-dar qadam

kucha-gardi ye shab-o-roz ki be-vajh nahin

ediyan ragdenge kis ke pas-e-divar qadam

jada-e-rah-e-mohabbat ko khat-e-mustar jaan

sar ke bal misl-e-qadam chal jo hon be-kar qadam

khaak bhi huun to huun khak-e-dar us ka ‘atish’

jis ke the dosh-e-payambar ke saza-var qadam

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Barson Ka Shanasa Bhi Shanasa Nahin Lagta

shahryar

Hawa Ka Zor Hi Kafi Bahana Hota Hai

Mere Qadmon Par Nigun Mera Hi Sar Hai Bhi to Kya

poet

Katti Hai Koi dam Yahin Auqat Maze Ki

poet

Tu Agar Be-Naqab Ho Jata

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet