zindagi zinda hai lekin kisi dam-saz ke saath
varna yuun jaise kabutar koi shahbaz ke saath
bijliyan saath liye zahr bhare lamhon ki
vaqt chalta hai zamane men kis andaz ke saath
asman jaane kahan le ke chala hai mujh ko
uupar uThta hai barabar miri parvaz ke saath
aaj tanha huun to kyaa, dekhta rahna kal tak
aur avazen bhi hongi miri avaz ke saath
ek aghaz ubharta hai har anjam ke ba.ad
ek anjam bhi palta hai har aghaz ke saath
ek lamha ki garan hai mujhe tanha.i men
ek duniya ki javan hai mire hamraz ke saath
Leave a Reply