aaya jo mausam-e-gul to ye hisab hoga
ham honge yaar hoga jam-e-sharab hoga
nalon se apni ik din vo inqalab hoga
dam bhar men asman ka aalam kharab hoga
dikhlaenge tujhe ham dagh-e-jigar ka aalam
munh is taraf kabhi to ai aftab hoga
ai zahid-e-riyai dekhi namaz teri
niyyat agar yahi hai to kya savab hoga
vo radd-e-khalq huun main gar duub kar marunga
murda mira vabal-e-dosh-e-habab hoga
vo mast hain idhar to rakhte nahin hain saghar
maghrib se haan numayan jab aftab hoga
ai zud-ranj tujh par jo log jaan denge
rah rah ke turbaton men un par azaab hoga
khun-e-siyaush ik din dikhlaega kharabi
is zulm ka evaz ai afrasiyab hoga
tu naqd-e-dil ko le kar mukra tu hi thahar ja
roz-e-hisab mere tere hisab hoga
allah re un ka ghussa itna nahin samajhte
kyunkar koi jiyega jab yuun itaab hoga
dagh-e-jigar ko le kar jaenge ham jo ai dil
jannat men huriyon ko rahna azaab hoga
kya sair hogi vo mah laaya agar harara
chehra jo tamtamaya to aftab hoga
vo rind huun main zahid aane de hashr ka din
us rose bhi ye banda mast-e-sharab hoga
barsat hai baharen saqi-e-barq-vash ko
chhaya hua chaman par kaisa sahab hoga
ai mehr-vash to kyunkar parde men chhup sakega
abr-e-tunak ki surat munh par naqab hoga
ai charkh-e-pir ab to ye haal hai sitam ka
kya hoga jin dinon men tera shabab hoga
ai mughbachon tumhara bayan qadam main lunga
zahid ka gar amama rehn-e-sharab hoga
dhoega apne talve vo but jo sang-pasi
shirin ka be-sutun par naqsha kharab hoga
zulfon ka ishq kyunkar un se bayan karunga
hal-e-dil-e-pareshan gunge ka khvab hoga
sar-kushtagi men mera kya saath de sakega
ai asman thahar ja na-haq kharab hoga
furqat men zabt-e-nala ham se na ho sakega
qaabu men dil na hoga jab iztirab hoga
likkhe ki kya khabar thi ye kaun janta tha
laila ke saath padh kar majnun kharab hoga
iman tum ‘saba’ ka us vaqt dekh lena
ankhon men dam labon par ya bu-turab hoga
Leave a Reply