Haqiqat Mahram-E-Asrar Se Puchh

haqīqat mahram-e-asrār se pūchh

mazā añgūr kā mai-ḳhvār se pūchh

vafā aġhyār kī aġhyār se sun

mirī ulfat dar o dīvār se pūchh

hamārī āh-e-be-tāsīr kā haal

kuchh apne dil se kuchh aġhyār se pūchh

diloñ meñ Dālnā zauq-e-asīrī

kamand-e-gesū-e-ḳhamdār se pūchh

dil-e-mahjūr se sun lazzat-e-vasl

nashāt-e-āfiyat bīmār se pūchh

nahīñ juz girya-e-ġham hāsil-e-ishq

hamārī chashm-e-dariyā-bār se pūchh

nahīñ āb-e-baqā juz jalva-e-dost

kisī lab-tishna-e-dīdār se pūchh

fareb-e-vāda-e-dildār kī qadr

shahīd-e-ḳhanjar-e-inkār se pūchh

fuġhān-e-shauq ko maane nahīñ vasl

ye nukta andalīb-e-zār se pūchh

tasavvur meñ kiyā karte haiñ jo ham

vo tasvīr-e-ḳhayāl-e-yār se pūchh

matā-e-be-bahā hai sher-e-‘hālī’

mirī qīmat mirī guftār se pūchh

Leave a Comment