mujh ko jo kahte ho myaan tum ho kahan tum ho kahan
dil kahan hai paas mere meri jaan tum ho kahan
vo gali hai ya pari-ḳhana hai ya firdaus hai
sach kaho ai hamdamo main huun kahan tum ho kahan
apne se apna na ho kaam auron se rakhiye umiid
kya vasiyyat karte ho ai dostan tum ho kahan
gul khilenge baar baar aur aa.egi hir-phir bahar
hai hamesha sair-e-gulzar-e-jahan tum ho kahan
jab javani ga.i raha kya aana jaana sab gaya
aao jaane do vo baten ai miyan tum ho kahan
dekhne ka chaav ye ainak utarti hi nahin
dekho tum apni taraf ai mehrban tum ho kahan
puchhte hain haal to munh dekh rahte ho ‘raza’
dil kahin aur hi hai sunte ho miyan tum ho kahan
Leave a Reply