hai jitna zarf mira itna hi sila dena
na aur kuchh tu umidon ka silsila dena
miri to arz-e-tamanna hai qadre pechida
javab dena ho mushkil to muskura dena
kisi gharib ki dil-jui bhi ibadat hai
hai nek kaam kisi rote ko hansa dena
kuchh is qadar hui kamzor Dor rishton ki
hai ek mo.ajiza TuuTe sire mila dena
tumhara farz hai halat-e-hazira pe ‘asar’
ghazal ke sheron men ik tabsira suna dena
Leave a Reply