lā.ūñ maiñ kahāñ se bhalā andāz-e-bayāñ aur
munsif kī zabāñ aur hai aur merī zabāñ aur
ye dard samajhtā nahīñ ādāb-e-zamāna
koshish ho chhupāne kī to hotā hai ayaañ aur
qismat kā likhā maan le thoḌe se ziyāñ ko
jā.egā adālat meñ to pā.egā ziyāñ aur
tafsīl bayāñ kartā hai kyoñ apne amal kī
is tarah to har shaḳhs pe guzregā gumāñ aur
manzil pe pahuñch kar na huā dil jo mirā ḳhush
pūchhī jo vaj.h us ne kahā aur amaañ aur
tum se bhī kahāñ mujh ko samā.at kī tavaqqo
mujh meñ bhī kahāñ baaqī hai ab tāb-e-fuġhāñ aur
ye zulm ke sho.ale haiñ faqat ḳhuuñ se bujheñge
ashkoñ se bujhāoge to uTThegā dhuāñ aur