parinda aa.ine se kya laḌega
fareb-e-zat men aa kar marega
mohabbat bhi baḌi lambi saḌak hai
barhana-pa koi kitna chalega
hamare jagne tak dekhna tum
hamare ḳhvab ka charcha rahega
hamari ḳhaak se duniya bani thi
hamari raakh se ab kya banega
ye chingari bhaḌak uTThegi ik din
miyan ye ishq hai ho kar rahega
tujhe duniya ki aadat paḌ ga.i hai
akela rah gaya to kya karega
main tere saath mar sakta huun lekin
tu mere saath kya zinda rahega
abhi se soch lo ḳhana-badosho
hamari raah men sahra paḌega
samundar ne ravani siikh li hai
mire dariya tumhara kya banega
Leave a Reply