jab jab vo sar-e-tur-e-tamanna nazar aaya
main kaise kahun vo mujhe kya kya nazar aaya
hasti ke dar-o-bast ka maara nazar aaya
har shaḳhs tamasha hi tamasha nazar aaya
dekha jo zamane ko kabhi achchhi nazar se
jo bhi nazar aaya hamen achchha nazar aaya
ka.abe men jo dekha vahi but-ḳhane men paaya
jaisa vo mire dil men tha vaisa nazar aaya
kya ye bhi mohabbat ke taqazon men hai shamil
dariya men nazar aaya to sahra nazar aaya
auron pe baḌhe sang-e-malamat jo liye ham
har chehre men kyon apna hi chehra nazar aaya
DhunDa hi nahin ham ne tumhara koi ham-sar
haan tum kaho tum ko koi ham sa nazar aaya
yuun aur bahut aib hain ‘sarvar’ men va-lekin
kam-baḳht mohabbat men tu yakta nazar aaya
Leave a Reply