• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Malum Wo Apni Wafa Ko Kya Samajhte Hain

Nahin Malum Wo Apni Wafa Ko Kya Samajhte Hain

poet

nahin ma.alum vo apni vafa ko kya samajhte hain

tire inkar karne ko bhi jo va.ada samajhte hain

zamane ko tumhara aur tumhen apna samajhte hain

agar aisa samajhte hain to kya beja samajhte hain

na puchho ham mohabbat ki ḳhalish ko kya samajhte hain

ye vo ne.amat hai jis ko hasil-e-duniya samajhte hain

pahunch jaane men un tak hai to bas ye zindagi haa.il

ham apni saans ko bhi raah ka kanTa samajhte hain

zamin se sar uThate hi nigahen chaar ho jaa.en

haqiqat men usi sajde ko ham sajda samajhte hain

sunana tha dil-e-betab ka qissa suna Daala

vo sun kar dekhiye kya sochte hain kya samajhte hain

unhin ke vaste hain imtihan-e-ishq ki qaiden

jo apni hasti-e-mauhum ka mansha samajhte hain

vafadaron se puchho narḳh apni jins-e-ulfat ka

agar sar de ke bhi mil jaa.e to sasta samajhte hain

unhin ke sar raha karta hai mohra na-ḳhuda.i ka

jo qatre ki haqiqat ko bhi ik dariya samajhte hain

gila be-sud hai ai ‘jurm’ be-mehri-e-alam ka

bura kuchh log kahte hain to kuchh achchha samajhte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ain Mumkin Hai Meri Baat Zara Si Nikle

poet

Qadam Qadam Pe Gire uTThe Bar Bar Chale

adeem-hashmi

Rakht-e-Safar Yunhi To Na Bekar Le Chalo

Mujhse Mil Kar KHud Ko Kya Paega Tu

Ek Sajda KHush-Gulu Ke Aage Sahwan Ho Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet