saba banate hain ghuncha-dahan banate hain
tumhare vaste kya kya suḳhan banate hain
sinan o tiir ki lazzat lahu men ram kare hai
ham apne aap ko kis ka hiran banate hain
ye dhaj khilati hai kya gul zara pata to chale
ki ḳhak-e-pa ko tiri pairahan banate hain
vo gul-izar idhar aa.ega sau daghon se
ham apne siine ko rashk-e-chaman banate hain
shahid-e-naz ghazab ke hunar-varan nikle
lahu ke chhinTon se apna kafan banate hain
tumhari zaat havala hai surḳh-rui ka
tumhare zikr ko sab shart-e-fan banate hain
Leave a Reply