zara sa jhank lo in be-qarar ankhon men
dikha.i dega tumhara dayar ankhon men
garan hue mire dilbar firaq ke lamhe
ubhar ke dil se chala aaya pyaar ankhon men
zahe-nasib ruḳh-e-naz gar nazar aa.e
basa ke rakh luun main jan-e-bahar ankhon men
kahan qayam hai jan-e-jigar bata de zara
yahi saval uTha baar baar ankhon men
tumhari yaad men mashghul ho ga.iin jab se
ḳhizan ki fasl men aa.i bahar ankhon men
zamin-e-ashk pe chha.i hai is qadar ḳhushki
jagah jagah pe paḌi hai darar ankhon men
na hon vo ḳhira tajalli ko dekh kar teri
vo tab-e-did de parvardigar ankhon men
ruki ruki si hain nazren tumhari rahon par
thama thama sa hai dil ka qarar ankhon men
dikha do chehra ki dam toḌti hain ab sansen
umiid ho na kahin taar taar ankhon men
tumhare hijr men nargis bhi ḳhuun roti hai
liye hai ashk musalsal bahar ankhon men
jo maut hasrat-e-didar men mujhe aa.i
tumhari yaad ka hoga mazar ankhon men
‘falak gavah hai ro ro ke paḌ ga.e halqe
basa hua hai tira intizar ankhon men
Leave a Reply