gunah-e-ishq men is baat kei taskin hoti hai
hua ho jurm gahra to saza sangin hoti hai
khule rakhte ho darvaze dariche barha tum kyon
suno duniya tamashon kei baḌi shauqin hoti hai
safar men dhuup hai to kya udasi oḌh loge tum
mile saa.e jo the un ki baḌi tauhin hoti hai
zara ro lo kahin aansu agar ye suukh jaa.en to
nahin hain zaḳhm bharte aur zaban namkin hoti hai
tumhara lauT ke aana hamari ḳhvahish-e-beja
magar bharte hain jab bhi dam dam-e-amin hoti hai
sahara ban nahin paate bhale ḳhud-gharz kuchh bachche
musibat ho magar in pe to maan ghamgin hoti hai
siyasat aur daulat jab siyahi sokh lete hain
kisi ke ḳhuun se tasvir tab rangin hoti hai
Leave a Reply