kaun hai ziya-afgan chand men sitare men
aag kis ki hai raushan barq ke sharare men
jalva-afrin aḳhir ho gaya mire haq men
dil ka jazb ho jaana har hasin nazare men
tere ik tabassum se ruh-e-zindagi shadan
kaam hai tamam us ka tere ik ishare men
samne hai bahr-e-ishq aur hai dua meri
yaar huun kinare par ya huun tez dhare men
bazm-e-naz men aḳhir baar mil gaya sab ko
kya huzur ka farman hai ’tilak’ ke baare men
Leave a Reply