dil ko dard-ashna kiya tu ne
dard-e-dil ko dava kiya tu ne
tab-e-insan ko di sirisht-e-vafa
ḳhaak ko kimiya kiya tu ne
vasl-e-janan muhal Thahraya
qatl-e-ashiq rava kiya tu ne
tha na juz gham bisat-e-ashiq men
gham ko rahat-faza kiya tu ne
jaan thi ik vabal furqat men
shauq ko jan-guza kiya tu ne
thi mohabbat men nang minnat-e-ghair
jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne
raah zahid ko jab kahin na mili
dar-e-mai-ḳhana va kiya tu ne
qat.a hone hi jab laga paivand
ghair ko ashna kiya tu ne
thi jahan karvan ko deni raah
ishq ko rahnuma kiya tu ne
naav bhar kar jahan Duboni thi
aql ko naḳhuda kiya tu ne
baḌh ga.i jab pidar ko mehr-e-pisar
us ko us se juda kiya tu ne
jab hua mulk o maal rahzan-e-hosh
badshah ko gada kiya tu ne
jab mili kam-e-jan ko lazzat-e-dard
dard ko be-dava kiya tu ne
jab diya rah-rau ko zauq-e-talab
sa.i ko na-rasa kiya tu ne
parda-e-chashm the hijab bahut
husn ko ḳhud-numa kiya tu ne
ishq ko tab-e-intizar na thi
ghurfa ik dil men va kiya tu ne
haram abad aur dair ḳharab
jo kiya sab baja kiya tu ne
saḳht afsurda tab.a thi ahbab
ham ko jaadu nava kiya tu ne
phir jo dekha to kuchh na tha ya rab
kaun puchhe ki kya kiya tu ne
‘hali’ uTTha hila ke mahfil ko
aḳhir apna kaha kiya tu ne
Leave a Reply