apne hal-e-dil pe ḳhud hi muskura sakta huun main
kab kisi ke rahm ka ehsan uTha sakta huun main
ashiyan ko phunk sakti hai agarche bijliyan
shaḳh-e-gul par baar baar is ko bana sakta huun main
dastan-e-gham ko kah sakta huun sirf ik aah main
aur tum chaho to afsana bana sakta huun main
tum agarche baḳhsh sakte ho mujhe tanha.iyan
apni tanha.i ko bhi mahfil bana sakta huun main
be-ruḳhi se toḌ sakte ho dil-e-nazuk ko tum
aur shikasta-saz dil par gunguna sakta huun main
har qadam par ziist ne aa kar jhinjhoḌa hai mujhe
zindagi se kya kabhi ankhen chura sakta huun main
itni dekhi hain baharen itni dekhi hai ḳhizan
ab to in ka farq bhi dil se miTa sakta huun main
tum ko ye da.ava ki tum har anjuman ki jaan ho
zo.am hai mujh ko ki har mahfil pe chha sakta ho main
vo nigah-e-lutf gar tujh ko mayassar ho ‘habib’
zindagi ko ik na.i manzil pe la sakta huun main
Leave a Reply