kaun se jazbat le kar tere paas aaya karun
tu bata kis zaviye se main tujhe dekha karun
ye bhi ik shart-e-safar hai ham-safar koi na ho
jis kisi bhi raste ko tai karun tanha karun
ai guzarte vaqt tu kab mere bas men aa.ega
lamha-e-parran bata kab tak tira pichha karun
halqa-e-ahbab baḌhta ja raha hai din-ba-din
ab main apne aap ko bhi aur kuchh gahra karun
kya tire hi qurb ke muhtaj the sab silsile
kuchh samajh men hi nahin aata ki main ab kya karun
an-ginat banti bigaḌti ḳhvahishon ki zad men huun
dil kahin Thahra bhi ho main dil ka kya kahna karun
mere milne valon men se kaun milta hai tujhe
tu kahan hai aur kaisa hai kise puchha karun
mujh men bhi teri tabi.at ka zara sa rang hai
tu nahin to kyuun na apne aap ko chaha karun
mere sheron men tiri be-chargi ka dukh bhi ho
kaash jo tu sochta hai vo bhi main likkha karun
kya se kya hone ka dukh bhi kitna karb-angez hai
kis tavaqqo par ‘riyaz’ ab aa.ina dekha karun
Leave a Reply