Aa Gaya Isar Mere Halqa-E-Ahbab Mein

aa gayā īsār mere halqa-e-ahbāb meñ

phir kisī sho.ale ne paa.ī hai numū barfāb meñ

kah rahī hai sāhiloñ se Dūbne vaale kī laash

maiñ ne paayā hai sukūñ ik muztarib girdāb meñ

kaañp uTThā huuñ varūd-e-bārish-e-mau.ūda par

ġharq hone ko hai saarā shahar sail-e-āb meñ

mere hāthoñ meñ agar taqdīr-e-sub.h-o-shām ho

titliyāñ ta.abīr kī rakh duuñ kitāb-e-ḳhvāb meñ

ḳhaak ke putle ne āḳhir kar diyā ifshā use

dafan thā jo raaz ab tak sīna-e-mahtāb meñ

sāmne kī chiiz meñ ‘āsif’ nahīñ koī kashish

tak na yuuñ hairat se apne aks ko tālāb meñ

Leave a Comment