roz aati hai ik sada mujh men
kaun rahta hai main siva mujh men
kyon ye hangama hai bapa mujh men
kya koi ḳhvab mar gaya mujh men
kyon use DhunDun asman ke paar
hai yaqin rah raha ḳhuda mujh men
saans leta huun dard hota hai
kya koi hadisa hua mujh men
karb ki aag men jala hai badan
zindagi aa mujhe bacha mujh men
maan ne raushan ise kiya ‘tariq’
kaise bujh pa.ega diya mujh men
Leave a Reply