• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / intizar

intizar

nida-fazli

muddaten biit gaiin

tum nahin aaiin ab tak

roz suraj ke bayaban men

bhatakti hai hayat

chand ke ghaar men

thak-har ke so jaati hai raat

phuul kuchh der mahakta hai

bikhar jaata hai

har nasha

lahr banane men utar jaata hai

vaqt!

be-chehra havaon sa guzar jaata hai

kisi avaz ke sabze men lahak jaisi tum

kisi khamosh tabassum men chamak jaisi tum

kisi chehre men mahakti hui ankhon jaisi

kahin abru kahin gesu kahin banhon jaisi

chand se

phuul talak

yuun to tumhin tum ho magar

tum koi chehra koi jism koi naam nahin

tum jahan bhi ho

adhuri ho haqiqat ki tarah

tum koi khvab nahin ho

jo mukammal hogi

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Chal Nahin Sakte Wahan Zehn-E-Rasa Ke joD-toD

ahmad-ata

Main Na Hone Se Hua Yani Badi Taqsir Ki

afeef-siraj

Shab dhali Meri Aur Sahar Na Hui

Mutmain Hun Main Is KHasare Par

poet

Jari Hai Kab Se Marka Ye Jism-O-Jaan Mein Sard Sa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet