jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain
qadr-dan husn ke ye baat baja kahte hain
us ke chehre ki ziya se hai chamak suraj ki
us ki bikhri hui zulfon ko ghaTa kahte hain
vo jo ankhon se pila.e to chalo pi lenge
vaise ham piine pilane ko bura kahte hain
surḳh hathon ki haqiqat to hami jante hain
jo nahin jante vo rang-e-hina kahte hain
baat achchhi hi vo karte hain hamare haq men
jo hamare liye kahte hain baja kahte hain
saḳht pathrili zamin par bhi khilate hain gulab
sher ham kahte hain aur sab se siva kahte hain
ye rivayat hai zamane ki na.i baat nahin
hoti aa.i hai ki achchhon ko bura kahte hain
aaj gahvare men baiThe hain sabhi ahl-e-adab
is faza hi ko mohabbat ki faza kahte hain
ham ne ki mashq-e-suḳhan misra-e-‘ghalib’ pe ‘nadim’
log is baare men ab dekhiye kya kahte hain
Leave a Reply