pi bhi ai maya-e-ashabab sharab
garm-joshi se hai kabab sharab
maryami uḌ ga.i masiha ki
lab-e-nazuk pe hai sharab sharab
us se ham ja bhiḌe adu ke ghar
hai paḌi ḳhanuman-ḳharab sharab
kyuun ki mutlaq haram hi kahiye
piji.ega mila ke aab sharab
bahr-e-har-zarf-e-imtihan saghar
har tamanna ka intiḳhab sharab
ba.ad-azin mohtasib qasam le le
tauba karta huun la shitab sharab
zaa.e.a auqat ko nahin karte
piite hain vaqt-e-mahtab sharab
saḳht matam hai ai shabab tira
ki rulati hai ḳhun-e-nab sharab
mohtasib us ka ḳhuun hai kis par
jo hai piita baja.e aab sharab
mus.haf-o-ḳhirqa bechte hain ham
ho ga.i jaan ko azaab sharab
us ki baḳhshish hai be-hisab agar
ham bhi piite hain be-hisab sharab
har ghaḌi zikr-e-mai hai ai vaa.iz
ho ga.i teri to kitab sharab
ai ‘qalaq’ mai-kade men sajde kyuun
kaun dega pa-e-savab sharab
Leave a Reply