bahut mushkil hai dariya paar jaana
magar hai kufr himmat haar jaana
bahut mumkin hai qismat muntazir ho
to phir ḳhvabon men bhi bedar jaana
na jaana halqa-e-zulmat men chahe
paḌe maqtal pas-e-divar jaana
ye kah kar vo chala su-e-shahadat
ḳhuda ke paas kya bimar jaana
amir-e-shahr ka husn-e-tadabbur
raqibon ko bhi apna yaar jaana
muqaddar tha jo bach aa.e salamat
dil-e-inkar ko iqrar jaana
tamanna jiit ki ho zindagi men
to har mahfil men le kar haar jaana
agar munsif bana vo ḳhud na hoga
ye raaz us ne sar-e-darbar jaana
ye paiham muflisi jin ka karam hai
unhin ko ham ne palanhar jaana
lab-o-ruḳhsar par taale paḌe hain
to kya ‘ḳhalid’ pa.e didar jaana
Leave a Reply