mahsūs jo karte ho ye halchal mire andar
kuchh TūTtā rahtā hai musalsal mire andar
hoñThoñ pe tabassum ke gulāboñ kī numā.ish
hai nāg-phanī kā koī jañgal mire andar
mushkil hai ki ye pyaas mirī kaise miTegī
sahrā haiñ mire hoñTh to bādal mire andar
is baar jo us ne mujhe bāhar se sameTā
is baar huā ḳhvāb mukammal mire andar
is ruuh ko āzād karo jism se jaldī
mar jaa.e na ghuT ghaT ke ye pāgal mire andar