fan jo nadar tak nahin pahuncha
abhi meayar tak nahin pahuncha
us ne bar-vaqt be-rukhi barti
shauq azar tak nahin pahuncha
aks-e-mai ho ki jalva-e-gul ho
rang-e-rukHsar tak nahin pahuncha
harf-e-inkar sar buland raha
zoaf-e-iqrar tak nahin pahuncha
hukm-e-sarkar ki pahunch mat puchh
ahl-e-sarkar tak nahin pahuncha
adl-gahen to duur ki shai hain
qatl akhbar tak nahin pahuncha
inqilabat-e-dahr ki buniyad
haq jo haqdar tak nahin pahuncha
vo masiha-nafas nahin jis ka
silsila-dar tak nahin pahuncha
Leave a Reply