• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai Mere Man Ke Shah Piya

Ai Mere Man Ke Shah Piya

ai mere man ke shaah piya

mujhe aaj bhi teri chaah piya

mire dil men sachchi priit tiri

tujhe kaun kiya gumrah piya

main gale men maala Daal phiri

main ne oḌha rang-e-siyah piya

tu jis jis raste se guzra

main ne chumi har vo raah piya

main ne nau man tel jalaya hai

dhage bandhe dargah piya

main ne ashk baha.e masjid men

tu lauTa kyuun na aah piya

mire dard bhare in sheron par

phir log kahenge vaah piya

tire dar par arzi pesh kare

tiri shahzadi mire shaah piya

sun rasta takte nain thake

chal DhunD naan koi raah piya

tire hijr men chand ko gahan laga

mira rang hua hai siyah piya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-masoom

Ye Sare Phul Ye Patthar Usi Se Milte Hain

Tirgi Mein Ek Pal Ka Hi Sahaara Kar Gaya

obaidullah-aleem

Visaliya

Is Jahan-E-Be-Jahan Mein Dil Laga Pawenge Kya

iffat-zarrin poetess

Be-Samt Raston Pe Sada Le Gai Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet