mere liye raat ne
aaj faraham kiya
ek naya marhala
nindon se khali kiya
ashkon se phir bhar diya
kaasa miri aankh ka
aur kaha kaan men
main ne har ik jurm se
tum ko bari kar diya
main ne sada ke liye
tum ko riha kar diya
jaao jidhar chaho tum
jaago ki so jaao tum
khvab ka dar band hai
Leave a Reply