thapkiyan de ke tire gham ko sulaya ham ne
kya kahen kis tarah ye bojh uThaya ham ne
shaam paḌte hi diya kaun jalata hai yahan
is haveli men na insan koi paaya ham ne
yuun to har zarre se puchha tire jaane ka sabab
raaz gahra tha kisi ko na bataya ham ne
vo ajab shaḳhs tha har dar pe jhukata tha jabin
chaah kar bhi to nahin us ko bhulaya ham ne
Leave a Reply