guzarte vaqt ki koi nishani saath rakhta huun
ki main thahrav men bhi ik ravani saath rakhta huun
samajh men khud miri aata nahin halat ka chakkar
makan rakhta nahin huun la-makani saath rakhta huun
guzarna hai mujhe kitne ghubar-alud raston se
so apni aankh men thoda sa paani saath rakhta huun
fana hona agar likkha gaya hai mere hone men
to main tujh ko bhi ai duniya-e-fani saath rakhta huun
Leave a Reply