kis qadar dard ke shab karta tha mazkur tira
vo hi bimar tira khasta-o-ranjur tira
be-khabar ab bhi shitabi se pahunch darta huun
kushta-e-hijr na ho ye kahin mahjur tira
ye na aane ke bahane hain sabhi varna miyan
itna to ghar se mire kuchh nahin ghar duur tira
nichi nazron se tiri darta huun kya kuchh na karen
dekh lena to yahan sab ko hai manzur tira
ankhen in rozon men sach kahiyo ladaen kis se
be-tarah jhamke hai kuchh dida-e-makhmur tira
jis ki tu yaari kare yari-e-do-jag vo kare
nasir-e-har-do-jahan hove hai mansur tira
shash-jihat tujh sati maamur hai allah allah
jhamke hai charon taraf nam-e-khuda nuur tira
Leave a Reply